SHAAM! Chapter 1
DAY 1 Har shaam main ek shakhs ko dekha karta tha, Haathon mein qalam aur kitaab liye, Na jaane kis soch mein apne aangan mein baitha rehta tha, Ek roz himmat karke poocha maine usse, Ke kya wajah hai, kyun ho itne khamoosh khudse, Woh dekh kar muskuraya, qalam uthaya aur likhne shuru krdya phir se, Jawab na aya, toh main bola usse, Kya yahi musafiron ki izzat hai tumhare ghr mein, Woh kuch na bola aur likhta gaya khud se, Aur ek aur shaam beet gayi, bin jaane raaz uske. DAY 2 Ab har ghari uske raaz sata rahe mujhe, Na sochunga ye soch kar phir yaad dila rahe mujhe, Ab phir se pohancha main milne usse, Har shaam ki tarah wahi baitha tha apni dhun mein, Main jaake bola... "Kyun is qadar khamosh ho, Gham-e-aashiqui hai ya majboor ho", Woh phir se dekh kar muskuraya, Qalam uthaya aur likhna shuru krdiya phir se, Main bas dekhta gaya usse, Aur woh likhta gaya khud se, Mere dil ne bola ki aaj pooch isse, Kyunke nahi pata kisi ko ke kal kis ke naseeb mein, Mere labon se lafz nikal